Safar Shayari in Hindi captures the essence of journeys, both literal and metaphorical, through beautifully crafted verses. Travel often evokes a myriad of emotions, from excitement to nostalgia, making Shayari a perfect companion for every traveller.
Let’s explore the significance of Safar Shayari, exploring how these poetic expressions can enhance your travel experiences and resonate with your adventures. By the end, you’ll discover a collection of poignant Shayari that speaks to the heart of every journey.
You can also read: 1 line shayari in Hindi
Safar Shayari

सिर्फ़ दरवाज़े तलक जा के ही लौट आया हूँ
ऐसा लगता है कि सदियों का सफ़र कर आया
Sirf darwaze talak ja ke hi laut aaya hoon
Aisa lagta hai ki sadiyon ka safar kar aaya
हम-सफ़र होता कोई तो बाँट लेते दूरियाँ
राह चलते लोग क्या समझें मेरी मजबूरियाँ
Hum-safar hota koi to baant lete dooriyan
Raah chalte log kya samjhein meri majbooriyan
सफर भले ही अकेले कट रहा है, पर
जैसा भी कट रहा है क्या खूब कट रहा है।
Safar bhale hi akele kat raha hai, par
Jaisa bhi kat raha hai kya khoob kat raha hai.
चल वहीं ऐ दिल जहाँ हमसफर है मेरा,
ये अजनबी रास्ते वो आखिरी सफर है तेरा !
Chal wahan ai dil jahan humsafar hai mera,
Yeh ajnabi raste woh aakhri safar hai tera!
समुंदरों के सफ़र जिन के नाम लिक्खे थे
उतर गए वो किनारों पे कश्तियाँ ले कर
Samundaron ke safar jin ke naam likkhe the
Utarr gaye woh kinaron pe kashtiyan le kar
दिल से मांगी जाए तो हर दुआ में असर होता है,
मंजिलें उन्हीं को मिलती है जिनकी जिंदगी में सफ़र होता है..!!
Dil se maangi jaye to har dua mein asar hota hai,
Manzilein unhi ko milti hain jinki zindagi mein safar hota hai..
आज फिर तेरी यादों के सफर में खो गया,
ना मंजिल मिली ना सफर पूरा हुआ।
Aaj phir teri yaadon ke safar mein kho gaya,
Na manzil mili na safar poora hua.
Safar Shayari in Hindi
मंज़िल से बेहतर लगने लगा है ये सफर,
कौन कहता है ठिकाने ही सब कुछ होते हैं।
Manzil se behtar lagne laga hai ye safar,
Kaun kehta hai thikane hi sab kuch hote hain.
ज़िन्दगी यूँ हुई बसर तन्हा,
काफिला साथ था और सफ़र तन्हा।
Zindagi yun hui basar tanha,
Kaafila saath tha aur safar tanha.
इस सफ़र में नींद ऐसी खो गई,
हम न सोए, रात थक कर सो गई।
Is safar mein neend aisi kho gayi,
Hum na soye, raat thak kar so gayi.
धोखा है इक फ़रेब है मंज़िल का हर ख़याल
सच पूछिए तो सारा सफ़र वापसी का है
Dhokha hai ik fareb hai manzil ka har khayal
Sach poochen to sara safar wapsi ka hai
इन अजनबी सी राहों में जो तू मेरा हमसफर हो जाये,
बीत जाए पल भर में ये वक्त और हसीन सफर हो जाये !
In ajnabi si raahon mein jo tu mera humsafar ho jaye,
Beet jaye pal bhar mein yeh waqt aur haseen safar ho jaye!
Safar Shayari English

Ek lamhe mein simat aaya hai sadiyon ka safar
Zindagi tez bahut tez chali ho jaise
In a single moment, the journey of centuries has condensed,
As if life has moved very fast, too fast.
Mujhe khabar thi mera intezaar ghar mein raha
Ye haadsa tha ki main umr bhar safar mein raha!
I knew my wait remained at home,
But the incident was that I stayed on the journey all my life!
Kisi ko ghar se nikalte hi mil gayi manzil
Koi hamari tarah umr bhar safar mein raha!
Some found their destination as soon as they left home,
While someone like me remained on the journey all my life!
Unhi raaston ne jin par kabhi tum the saath mere
Mujhe rok rok poochha teraa hum-safar kahaan hai.
The same roads that once had you with me,
Stopped me again and again, asking where your companion is.
Kitna bekaar tamanna ka safar hota hai
Kal ki ummid pe har aaj basar hota hai
How futile the journey of desire is,
Living every day on the hope of tomorrow.
Zindagi Safar Shayari

ना जाने जिंदगी का इंतजाम क्या होगा,
निकल पड़े सफर पर अंजाम क्या होगा।
Na jaane zindagi ka intezaam kya hoga,
Nikal pade safar par anjaam kya hoga.
तेरी जिंदगी की असलियत का जब तुझ पर असर होगा,
असल में उस समय ही शुरु तेरे जीवन का सफर होगा।
Teri zindagi ki asliyat ka jab tujh par asar hoga,
Asal mein us samay hi shuru tere jeevan ka safar hoga.
ख़ामोश ज़िंदगी जो बसर कर रहे हैं हम
गहरे समुंदरों में सफ़र कर रहे हैं हम
Khamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum
Gehre samundaron mein safar kar rahe hain hum
रस्ते कहाँ ख़त्म होते हैं जिंदगी के सफर में,
मंजिल भी वहीं है जहाँ ख्वाहिशें थम जाएँ।
Raste kahaan khatam hote hain zindagi ke safar mein,
Manzil bhi wahi hai jahan khwahishen tham jaayein.
लोग चाहे जितना भी करीब हो,
लेकिन हर कोई अकेला है ज़िंदगी के इस सफर में..!!
Log chahe jitna bhi kareeb ho,
Lekin har koi akela hai zindagi ke is safar mein..!!
ज़िंदगी के सफर में किसी के साथ का क्या भरोसा,
अकेले आये थे अकेले जाना है।
Zindagi ke safar mein kisi ke saath ka kya bharosa,
Akele aaye the akele jana hai.
Motivational Safar Manzil Shayari
मुसाफ़िरों के दिमाग़ों में डर ज़ियादा है
न जाने वक़्त है कम या सफ़र ज़ियादा है।
Musafiron ke dimaagon mein dar ziyaada hai
Na jaane waqt hai kam ya safar ziyaada hai.
थोड़ी सी मुस्कुराहट बरकरार रखना,
सफर में अभी और भी किरदार निभाने हैं।
Thodi si muskurahat barkarar rakhna,
Safar mein abhi aur bhi kirdaar nibhaane hain.
कुछ सपने पूरे करने हैं कुछ मंजिलों से मिलना है,
अभी सफर शुरू हुआ है मुझे बहुत दूर तक चलना है..!!
Kuch sapne poore karne hain kuch manzilon se milna hai,
Abhi safar shuru hua hai mujhe bahut door tak chalna hai..!!
नई चीजों से रूबरू होना चाहते हैं,
तो एक बार अकेले सफर पर निकले…!
Nayi cheezon se rubaru hona chahte hain,
To ek baar akele safar par nikle…!
है थोड़ी दूर अभी सपनों का नगर अपना
मुसाफ़िरो अभी बाक़ी है कुछ सफ़र अपना
Hai thodi door abhi sapno ka nagar apna
Musafiro abhi baaki hai kuch safar apna
कुछ सपने पुरे करने हैं,
कुछ मंजिलों से मिलना है,
अभी सफर सुरु हुआ है,
मुझे बहुत दूर तक चलना है !
Kuch sapne pure karne hain,
Kuch manzilon se milna hai,
Abhi safar shuru hua hai,
Mujhe bahut door tak chalna hai!
Safar Shayari on Travel

जिंदगी की खूबसूरती देखना है
तो कभी सफर पर निकलो।
Zindagi ki khoobsurti dekhna hai
To kabhi safar par niklo.
सफ़र के बाद भी ज़ौक़-ए-सफ़र न रह जाए
ख़याल ओ ख़्वाब में अब के भी घर न रह जाए।
Safar ke baad bhi zauk-e-safar na reh jaye
Khayal o khwab mein ab ke bhi ghar na reh jaye.
अपनी मर्ज़ी से कहाँ अपने सफ़र के हम हैं,
रुख हवाओं का जिधर का है उधर के हम हैं !
Apni marzi se kahaan apne safar ke hum hain,
Rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain!
जब भी सफर करो दिल से करो,
सफर से खूबसूरत यादें नहीं होतीं..!!
Jab bhi safar karo dil se karo,
Safar se khoobsurat yaadein nahi hoti..!!
न जाने कौन सा मंज़र नज़र में रहता है
तमाम उम्र मुसाफ़िर सफ़र में रहता है
Na jaane kaun sa manzar nazar mein rehta hai
Tamaam umr musafir safar mein rehta hai
Safar Ki Shayari
किसी को मंज़िल की भूख है तो,
किसी को पैसों की प्यास है,
पर सच कहूँ तो मेरे लिए ये सफर ही ख़ास है..!!
Kisi ko manzil ki bhukh hai to,
Kisi ko paison ki pyaas hai,
Par sach kahoon to mere liye ye safar hi khaas hai..!!
ख़ामोश ज़िंदगी जो बसर कर रहे हैं हम
गहरे समुंदरों में सफ़र कर रहे हैं हम
Khamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum
Gehre samundaron mein safar kar rahe hain hum
अब जाना मैंने ज़िंदगी क्या है,
सफर में भी हूँ लेकिन जाना कहीं नहीं है !
Ab jana maine zindagi kya hai,
Safar mein bhi hoon lekin jana kahin nahi hai!
उम्र बिना रूके सफर कर रही है,
और हम ख्वाहिशें लेकर वहीं खड़े हैं।
Umr bina ruke safar kar rahi hai,
Aur hum khwahishein lekar wahin khade hain.
मंज़िलों से बेगाना आज भी सफ़र मेरा
रात बे-सहर मेरी दर्द बे-असर मेरा
Manzilon se begana aaj bhi safar mera
Raat be-sahar meri dard be-asar mera
Safar Shayari in English 2 Line
Safar ka maza lena hai to samaan kam rakhiye,
Zindagi ka maza lena hai to armaan kam rakhiye..!!
If you want to enjoy the journey, carry less baggage,
If you want to enjoy life, keep your desires fewer.
Mere hothon ke sabr se poochho
Uske haathon se gaal tak ka safar.
Ask the patience of my lips,
The journey from his hands to my cheek.
Zindagi apna safar tay to karegi, lekin
Hum-safar aap jo hote to maza aur hi tha.
Life will make its journey, but
If you were my companion, the journey would have been even more enjoyable.
Tumhe pata ye chale ghar ki rahatain kya hain
Hamari tarah agar chaar din safar mein raho
You’ll understand what the comforts of home are,
If you spend just four days on a journey like ours.
Conclusion
The world of Safar Shayari in Hindi opens up a treasure trove of feelings tied to travel and exploration. These poignant verses capture not only the joy of discovering new places but also the nostalgia that accompanies every trip.
By weaving together words and emotions, these Shayari invite readers to reflect on their adventures and the stories they carry within. As you explore this rich literary form, consider how travel shapes your narrative and inspires growth.